aisā  ḳhāmosh  to  manzar  na  fanā  kā  hotā
merī  tasvīr  bhī  girtī  to  chhanākā  hotā
yuuñ  bhī  ik  baar  to  hotā  ki  samundar  bahtā
koī  ehsās  to  dariyā  kī  anā  kā  hotā
saañs  mausam  kī  bhī  kuchh  der  ko  chalne  lagtī
koī  jhoñkā  tirī  palkoñ  kī  havā  kā  hotā
kāñch  ke  paar  tire  haath  nazar  aate  haiñ
kaash  ḳhushbū  kī  tarah  rañg  hinā  kā  hotā
kyuuñ  mirī  shakl  pahan  letā  hai  chhupne  ke  liye
ek  chehra  koī  apnā  bhī  ḳhudā  kā  hotā