zindagī  yuuñ  huī  basar  tanhā
qāfila  saath  aur  safar  tanhā
apne  saa.e  se  chauñk  jaate  haiñ
umr  guzrī  hai  is  qadar  tanhā
raat  bhar  bāteñ  karte  haiñ  taare
raat  kaaTe  koī  kidhar  tanhā
Dūbne  vaale  paar  jā  utre
naqsh-e-pā  apne  chhoḌ  kar  tanhā
din  guzartā  nahīñ  hai  logoñ  meñ
raat  hotī  nahīñ  basar  tanhā
ham  ne  darvāze  tak  to  dekhā  thā
phir  na  jaane  ga.e  kidhar  tanhā