kahīñ  to  gard  uḌe  yā  kahīñ  ġhubār  dikhe
kahīñ  se  aatā  huā  koī  shahsavār  dikhe
ḳhafā  thī  shāḳh  se  shāyad  ki  jab  havā  guzrī
zamīñ  pe  girte  hue  phuul  be-shumār  dikhe
ravāñ  haiñ  phir  bhī  ruke  haiñ  vahīñ  pe  sadiyoñ  se
baḌe  udaas  lage  jab  bhī  ābshār  dikhe
kabhī  to  chauñk  ke  dekhe  koī  hamārī  taraf
kisī  kī  aañkh  meñ  ham  ko  bhī  intizār  dikhe
koī  tilismī  sifat  thī  jo  is  hujūm  meñ  vo
hue  jo  aañkh  se  ojhal  to  baar  baar  dikhe