ruke  ruke  se  qadam  ruk  ke  baar  baar  chale
qarār  de  ke  tire  dar  se  be-qarār  chale
uThā.e  phirte  the  ehsān  jism  kā  jaañ  par
chale  jahāñ  se  to  ye  pairahan  utaar  chale
na  jaane  kaun  sī  miTTī  vatan  kī  miTTī  thī
nazar  meñ  dhuul  jigar  meñ  liye  ġhubār  chale
sahar  na  aa.ī  ka.ī  baar  niiñd  se  jaage
thī  raat  raat  kī  ye  zindagī  guzār  chale
milī  hai  sham.a  se  ye  rasm-e-āshiqī  ham  ko
gunāh  haath  pe  le  kar  gunāhgār  chale