phūloñ  kī  tarah  lab  khol  kabhī
ḳhushbū  kī  zabāñ  meñ  bol  kabhī
alfāz  parakhtā  rahtā  hai
āvāz  hamārī  tol  kabhī
anmol  nahīñ  lekin  phir  bhī
pūchh  to  muft  kā  mol  kabhī
khiḌkī  meñ  kaTī  haiñ  sab  rāteñ
kuchh  chauras  thiiñ  kuchh  gol  kabhī
ye  dil  bhī  dost  zamīñ  kī  tarah
ho  jaatā  hai  Dāñvā-Dol  kabhī