haath  chhūTeñ  bhī  to  rishte  nahīñ  chhoḌā  karte
vaqt  kī  shāḳh  se  lamhe  nahīñ  toḌā  karte
jis  kī  āvāz  meñ  silvaT  ho  nigāhoñ  meñ  shikan
aisī  tasvīr  ke  TukḌe  nahīñ  joḌā  karte
lag  ke  sāhil  se  jo  bahtā  hai  use  bahne  do
aise  dariyā  kā  kabhī  ruḳh  nahīñ  moḌā  karte
jāgne  par  bhī  nahīñ  aañkh  se  girtīñ  kircheñ
is  tarah  ḳhvāboñ  se  āñkheñ  nahīñ  phoḌā  karte
shahd  jiine  kā  milā  kartā  hai  thoḌā  thoḌā
jaane  vāloñ  ke  liye  dil  nahīñ  thoḌā  karte
jā  ke  kohsār  se  sar  maaro  ki  āvāz  to  ho
ḳhasta  dīvāroñ  se  māthā  nahīñ  phoḌā  karte