tamām  shobade  us  ke  kamāl  us  ke  haiñ
shikārī  aur  hai  zāhir  meñ  jaal  us  ke  haiñ
vo  ek  shaḳhs  jo  ojhal  huā  hai  āñkhoñ  se
har  ek  chehre  pe  ab  ḳhadd-o-ḳhāl  us  ke  haiñ
basar  kiyā  hai  jise  ham  ne  zindagī  kī  tarah
matā-e-umr  ke  sab  māh-o-sāl  us  ke  haiñ
vo  ḳhush-nasīb  hai  kitnā  ki  itne  barsoñ  se
sitāre  burj  meñ  sab  hasb-e-hāl  us  ke  haiñ
ab  us  se  baḌh  ke  bhalā  mo'tabar  kaheñ  kis  ko
zamāna  us  kā  hai  māzī-o-hāl  us  ke  haiñ
badaltī  rut  meñ  jise  maiñ  na  bhuul  paayā  'hasan'
nishān  dil  pe  mire  lā-zavāl  us  ke  haiñ