Hasan Rizvi

kabhi sham-e-hijr guzarte kabhi zulf-e-yar sanwarte

Hasan Rizvi

Ambala, Haryana, India

1946-2002

kabhī shām-e-hijr guzārte kabhī zulf-e-yār sañvārte

kaTī umr apnī qafas qafas tirī ḳhushbuoñ ko pukārte

na vo mah-jabīnoñ Toliyāñ na vo rañg rañg boliyāñ

na mohabbatoñ vo bāziyāñ kabhī jīt.te kabhī hārte

vo jo ārzūoñ ke ḳhvāb the vo ḳhayāl the vo sarāb the

sar-e-dasht ek bhī gul na thā jise āñsuoñ se sañvārte

thā jo ek lamha visāl vo riyāz thā ka.ī saal

vahī ek pal meñ guzar gayā jise umr guzrī pukārte

the jo jaan se bhī azīz-tar rahe umr bhar vahī be-ḳhabar

thī ye aarzū mire chārā-gar mirī naav paar utārte

nahīñ lab pe koī savāl thā mirā dil tamām malāl thā

maiñ ḳhamosh dar pe khaḌā rahā rahe vo bhī gesū sañvārte

Top Urdushayar.com