sāñjh-savere  phirte  haiñ  ham  jaane  kis  vīrāne  meñ
sāvan  jaisī  dhuup  likhī  hai  qismat  ke  har  ḳhāne  meñ
us  ne  pyaar  ke  saare  bandhan  ik  lamhe  meñ  toḌ  diye
jis  kī  ḳhātir  rusvā  haiñ  ham  is  be-dard  zamāne  meñ
shab  kī  siyāhī  aur  baḌhegī  aur  sitāre  TūTeñge
kuchh  to  vaqt  lagegā  āḳhir  nayā  saverā  aane  meñ
kitne  pīpal  suukh  ga.e  haiñ  kitne  dariyā  ḳhushk  hue
kitne  mausam  biit  ga.e  haiñ  bādal  ko  bahlāne  meñ
sīdhe-sāde  panchhī  kī  mānind  vo  shāyad  lauT  aa.e
aas  lagā.e  baiThe  haiñ  ham  apne  hairat-ḳhāne  meñ
paḌhnā  likhnā  chhūT  gayā  hai  sājan  jab  se  ruuTh  gayā
kaḌvī  kaḌvī  se  lagtī  hai  ab  to  har  shai  khāne  meñ