anīs-e-jāñ  haiñ  abhī  tak  nishāniyāñ  us  kī
bhulā.e  bhuul  na  paa.e  kahāniyāñ  us  kī
har  ek  lahje  meñ  shāmil  hai  zā.iqa  us  kā
sadā  sadā  meñ  haiñ  gauhar-fishāniyāñ  us  kī
kisī  ko  maar  gayā  is  kā  tund-o-tez  mizāj
hameñ  to  maar  ga.iiñ  qadr-dāniyāñ  us  kī
zarā  sī  baat  pe  us  kā  simaT  simaT  jaanā
vo  baat  baat  pe  nazrāñ  jhukāniyāñ  us  kī
kiye  haiñ  jab  bhī  taqāze  na.e  na.e  us  se
sunī  haiñ  phir  vahī  bātāñ  purāniyāñ  us  kī
kisī  kī  baat  pe  us  kā  mahak  mahak  uThnā
vo  mere  zikr  pe  kuchh  bad-gumāniyāñ  us  kī
nazar  meñ  husn  kisī  kā  'hasan'  samātā  nahīñ
ki  ham  ne  dekhī  haiñ  uThtī  javāniyāñ  us  kī