Hasan Rizvi

hawa ke ruKH par charagh-e-ulfat ki lau baDha kar chala gaya hai

Hasan Rizvi

Ambala, Haryana, India

1946-2002

havā ke ruḳh par charāġh-e-ulfat lau baḌhā kar chalā gayā hai

vo ik diye se na jaane kitne diye jalā kar chalā gayā hai

ham us bātoñ bārishoñ meñ har ek mausam meñ bhīgte the

vo apnī chāhat ke saare manzar hameñ dikhā kar chalā gayā hai

usī ke baare meñ harf likkhe usī pe ham ne ġhazal kahī hai

jo kajlī āñkhoñ se mere dil meñ naqab lagā kar chalā gayā hai

matā-e-jāñ bhī usī pe vaarī usī ke dam se hai saañs jaarī

mire badan meñ vo ḳhushbuoñ havā basā kar chalā gayā hai

ye fasl-e-fikr-o-ḳhayāl apnī usī ke dam se harī-bharī hai

jo kachche koThoñ ke āñganoñ se dhuāñ uThā kar chalā gayā hai

hamārī āñkhoñ meñ ratjage jhaḌī lagī hai usī ghaḌī se

ki jab se koī ġhazāl apnī jhalak dikhā kar chalā gayā hai

hiran mohabbat ke sabza-zāroñ meñ jaane kab chaukḌī bhareñge

vo jaate jaate savāl aisā 'hasan' uThā kar chalā gayā hai

Top Urdushayar.com