Rahat hasan

libas-e-chaak mein aiwan ke aage nahin jati

Rahat hasan

1959

libās-e-chāk meñ aivān ke aage nahīñ jaatī

farāsat yuuñ har sultān ke aage nahīñ jaatī

maiñ tai kartā huuñ rabt-o-zabt sab manzileñ phir bhī

rifāqat jaan aur pahchān ke aage nahīñ jaatī

rihā.ish to sabhī hai isī bāzār meñ lekin

nazar ab mirī sāmān ke aage nahīñ jaatī

junūñ meñ regzāroñ irāda kar rahā huuñ maiñ

savārī koī naḳhlistān ke aage nahīñ jaatī

ye kis vīrān hujre ko basānā chāhtā huuñ maiñ

koī parchhā.īñ bhī dālān ke aage nahīñ jaatī

sunā.ī de bhī kyā tum ko ki jis ko zaat kahte ho

sadā merī usī maidān ke aage nahīñ jaatī

bayān-e-harf ko meñ tuul detā huuñ magar 'rāhat'

kahānī shauq vijdān ke aage nahīñ jaatī

Top Urdushayar.com