Rahat hasan

aagahi aaine talak hai kya

Rahat hasan

1959

āgahī aa.ine talak hai kyā

ḳhud ke hone meñ koī shak hai kyā

qarya qarya bhaTak rahe haiñ log

sab ko andhā kiye chamak hai kyā

muñh pe aatī haiñ an-kahī bāteñ

dil meñ baaqī abhī kasak hai kyā

andar andar se hil rahā huuñ maiñ

hotī mahsūs kuchh dhamak hai kyā

tum jo āñkhoñ ko band rakhte ho

dekh us ik jhalak hai kyā

kyuuñ nigāhoñ meñ haiñ mirī sab rañg

mere pesh-e-nazar dhanak hai kyā

hai uḌānoñ silsila har-sū

ab zamīñ tarah falak hai kyā

koī manzar bhī ab nahīñ bhātā

mustaqil aañkh meñ khaTak hai kyā

un ko aatī hai kyuuñ hayā 'rāhat'

pairahan sirf jism tak hai kyā

Top Urdushayar.com