Rahat hasan

jab se jaana hai gham-e-zist se hasil kya hai

Rahat hasan

1959
jab se jaanā hai ġham-e-zīst se hāsil kyā hai
maiñ yahī soch rahā huuñ mutabādil kyā hai
ḳhvāb āñkhoñ meñ basā.e to huī ye ḳhvāhish
koī ham se bhī ye pūchhe ki ġham-e-dil kyā hai
log har qaid se āzād hue jaate haiñ
pūchhiye kis se ki ab kār-e-salāsil kyā hai
kis ko fursat hai kare ham ko jo zinda sābit
bas yahī ek vakīl apnā hai qātil kyā hai
naqsh ma.adūm hue jaate haiñ rafta rafta
ai ḳhudā aaj mirī raah meñ haa.il kyā hai
ā.ina-ḳhāne meñ ye dekh rahā huuñ 'rāhat'
muḳhtalif kyā hai yahāñ aur mutamassil kyā hai
Top Urdushayar.com