Rahat hasan

dil jo hansta hai to rone ka guman hota hai

Rahat hasan

1959

dil jo hañstā hai to rone gumāñ hotā hai

ḳhud ko kar use khone gumāñ hotā hai

din ko jab ghar se nikaltā huuñ to aksar mujh ko

saa.e ke bojh ko Dhone gumāñ hotā hai

jab bhī aatī hai mire sahn meñ ḳhushbū-e-gul

tere ghar ke kisī kone gumāñ hotā hai

oḌh letā huuñ sharāroñ ridā.eñ jab meñ

reg-e-sahrā pe bichhaune gumāñ hotā hai

narm hote badal jaatī hai sūrat merī

yak-ba-yak chaak pe hone gumāñ hotā hai

ek ashk muqaddar se milā hai phir bhī

har kisī daaġh ko dhone gumāñ hotā hai

hech thī merī nigāhoñ meñ haqīqat lekin

ab to miTTī pe bhī sone gumāñ hotā hai

TūTne aur bikharne meñ lagā huuñ jab se

mujh ko apne pe khilaune gumāñ hotā hai

paar kartā huuñ samundar pe samundar 'rāhat'

phir bhī ḳhud ko Dubone gumāñ hotā hai

Top Urdushayar.com