Syed Aabid Ali Aabid

naghma aisa bhi mere sina-e-sad-chaak mein hai

Syed Aabid Ali Aabid

Dera Ismail khan, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1906-1971
naġhma aisā bhī mire sīna-e-sad-chāk meñ hai
ḳhauf se hashr bapā gumbad-e-aflāk meñ hai
ai junūñ chal ḳham-e-gesū kī taraf dil to abhī
ālam-e-ḳhvāb meñ ādāb ke pechāk meñ hai
vo qafas ho ki nasheman ho panah-gāh nahīñ
tā.iro naġhmagaro barq-e-balā taak meñ hai
tere ḳhush-posh faqīroñ se vo milte to sahī
jo ye kahte haiñ vafā pairhan-e-chāk meñ hai
ye tasavvur hai abhī arsh abhī farsh pe thā
rañg-o-nairañg isī tausan-e-chālāk meñ hai
kyā bane sūrat-e-iz.hār-e-ma.ānī ki ḳhayāl
abhī uljhā huā alfāz ke pechāk meñ hai
dar-e-iḳhlās kī dahlīz par ḳham huuñ 'ābid'
ek jiine kā salīqa dil-e-bebāk meñ hai
Top Urdushayar.com