chashm-e-ḳhush-āb  kī  tamsīl  nahīñ  ho  saktī
aisī  shaffāf  koī  jhiil  nahīñ  ho  saktī
merī  fitrat  hī  meñ  shāmil  hai  mohabbat  karnā
aur  fitrat  kabhī  tabdīl  nahīñ  ho  saktī
us  ke  dil  meñ  mujhe  ik  jot  jagānā  paḌegī
ḳhud  hī  raushan  koī  qindīl  nahīñ  ho  saktī
sikka-e-dāġh  o  zar-e-ġham  se  bharā  hai  mirā  dil
dekh  ḳhālī  mirī  zambīl  nahīñ  ho  saktī
is  liye  shiddat-e-sadmāt  meñ  ro  detā  huuñ
mujh  se  jazbāt  kī  tashkīl  nahīñ  ho  saktī
dukh  to  ye  hai,  vo  mire  dukh  ko  samajhtā  hī  nahīñ
us  tak  ehsās  kī  tarsīl  nahīñ  ho  saktī
chhoḌ  aayā  huuñ  tirā  daftar-e-darbār-numā
ab  tire  hukm  kī  ta.amīl  nahīñ  ho  saktī
is  kasāfat  kī  latāfat  se  bhalā  kyā  nisbat?
tīrgī  nuur  meñ  tahlīl  nahīñ  ho  saktī
lāzmī  to  nahīñ  'sāhir'!  vo  mujhe  mil  jaa.e
ya.anī  har  ḳhvāb  kī  takmīl  nahīñ  ho  saktī