saudā-e-ishq  yuuñ  bhī  utarnā  to  hai  nahīñ
ye  zaḳhm-e-rūh  hai  ise  bharnā  to  hai  nahīñ
sau  baar  aa.ina  bhī  jo  dekheñ  to  fā.eda?
sūrat  ko  ḳhud-baḳhud  hī  sañvarnā  to  hai  nahīñ
mujh  ko  ḳhabar  hai  dahr  meñ  zinda  rahūñgā  maiñ
'bullhe'  kī  tarah  mar  ke  bhī  marnā  to  hai  nahīñ
jis  lahr  ko  nigal  ga.ī  ik  lahr  dūsrī
us  lahr  ko  dobāra  ubharnā  to  hai  nahīñ
tū  jo  yaqīn  kar  le  ki  vo  hai  to  phir  vo  hai
shai  kā  vajūd  asl  meñ  varna  to  hai  nahīñ!
dharnā.ī  kī  tarah  se  jo  dharnā  bhī  duuñ  to  kyaa?
dhartī  pe  us  ne  phir  bhī  utarnā  to  hai  nahīñ
kartā  huuñ  ḳhud  hī  mab.has  o  taqrīr  se  gurez
tark-e-ta.alluq  aap  se  karnā  to  hai  nahīñ
vo  jis  ko  apne-āp  se  lagtā  nahīñ  hai  Dar
us  ko  ḳhudā  kī  zaat  se  Darnā  to  hai  nahīñ
kyuuñ  us  ke  intizār  meñ  baiThā  huuñ  der  se?
is  rah-guzar  se  us  ne  guzarnā  to  hai  nahīñ
'sāhir'  ye  merā  dīda-e-giryāñ  hai  aur  maiñ
sahrā  meñ  koī  dūsrā  jharnā  to  hai  nahīñ