nairañgī-e-ḳhayāl  pe  hairat  nahīñ  huī
mujh  ko  kisī  kamāl  pe  hairat  nahīñ  huī
merī  tabāh-hālī  ko  bhī  dekh  kar  use
hairat  hai  mere  haal  pe  hairat  nahīñ  huī
pūchhā  thā  maiñ  ne  jab  use  kyā  mujh  se  ishq  hai?
us  ko  mire  savāl  pe  hairat  nahīñ  huī
dekhā  jo  ek  umr  ke  ba.ad  us  ne  aa.inā
ḳhud  apne  ḳhad-o-ḳhāl  pe  hairat  nahīñ  huī
ik  umr  se  maiñ  rafta-e-raftār-e-yār  huuñ
mujh  ko  ram-e-ġhazāl  pe  hairat  nahīñ  huī
āḳhir  ġhurūb  honā  hī  thā  āftāb-e-umr
mujh  ko  mire  zavāl  pe  hairat  nahīñ  huī
vo  shaḳhs  is  jahān  kā  thā  hī  nahīñ  kabhī
'sāhir'  ke  intiqāl  pe  hairat  nahīñ  huī