itnā  be-āsrā  nahīñ  huuñ  maiñ
aadmī  huuñ  ḳhudā  nahīñ  huuñ  maiñ
hai  abhī  merī  justujū  jaarī
ya.anī  ḳhud  ko  milā  nahīñ  huuñ  maiñ
maiñ  ne  da.avā  kiyā  na  hone  kā
mujh  ko  ma.alūm  thā  nahīñ  huuñ  maiñ
nikal  aayā  maiñ  zaat  se  bāhar
apne  andar  rahā  nahīñ  huuñ  maiñ
maiñ  jo  huuñ  maiñ  bhī  asl  meñ  tum  huuñ
merī  jaañ  dūsrā  nahīñ  huuñ  maiñ
tum  mujhe  jaan  hī  nahīñ  sakte
aks  huuñ  aa.inā  nahīñ  huuñ  maiñ
huuñ  burā,  māntā  huuñ  maiñ  lekin
is  qadar  bhī  burā  nahīñ  huuñ  maiñ
dūsroñ  kī  to  baat  hī  hai  alag
apnā  bhī  ham-navā  nahīñ  huuñ  maiñ
rāz-e-sar-basta  kī  tarah  'sāhir'
abhī  ḳhud  par  khulā  nahīñ  huuñ  maiñ