ba-zom-e-ḳhud  kahīñ  ḳhud  se  varā  na  ho  jā.ūñ
ḳhudā-na-ḳhvāsta  maiñ  bhī  ḳhudā  na  ho  jā.ūñ
bas  ek  dhyān  kī  maiñ  uñglī  thaam  rakhī  hai
ki  bhiiḌ  meñ  kahīñ  ḳhud  se  judā  na  ho  jā.ūñ
ye  sochtā  huuñ  kisī  dil  meñ  ghar  karūñ  maiñ  bhī
aur  us  se  pahle  yahāñ  be-Thikāna  ho  jā.ūñ
ye  jī  meñ  aatā  hai  mere  ki  raftagāñ  kī  tarah
maiñ  aaj  mulk-e-adam  ko  ravāna  ho  jā.ūñ
sab  ahl-e-dahr  mujhe  DhūñDte  na  rah  jaa.eñ
maiñ  apnī  zaat  hī  meñ  lāpatā  na  ho  jā.ūñ
koī  to  ho  jo  mujhe  zindagī  hī  meñ  paa.e
kisī  ke  haath  meñ  aayā  ḳhazāna  ho  jā.ūñ
jo  ho  sake  to  mire  jīte-jī  hī  qadr  karo
mabādā  maiñ  koī  guzrā  zamāna  ho  jā.ūñ
bas  ek  tajraba  mere  liye  bahut  hai  dilā
ik  aur  ishq  meñ  phir  mubtalā  na  ho  jā.ūñ
maiñ  ik  charāġh-e-sar-e-rahguzār  huuñ  'sāhir'
havā  ke  saath  bil-āḳhir  havā  na  ho  jā.ūñ