koī  nazar  na  paḌ  sake  mujh  hāl-mast  par
baiThā  huā  huuñ  is  liye  pichhlī  nishast  par
ik  mauj-e-ātishīñ  rag-o-pai  meñ  utar  ga.ī
rakhā  hai  us  ne  juuñ  hī  kaf-e-dast,  dast  par
kab  raas  aa.ī  mujh  ko  mirī  fat.h  kī  ḳhushī
maiñ  dil-shikasta  ho  gayā  us  kī  shikast  par
hai  yaad  mujh  ko  aaj  bhī  pahlā  mukālima
qaa.im  huuñ  maiñ  to  aaj  bhī  ahd-e-alast  par
kaise  sambhāl  rakkhā  hai  ik  zaat  ne  use
shashdar  huuñ  kā.enāt  ke  kul  band-o-bast  par
tai  marhala  kiyā  hai  adam  se  vajūd  kā
pahuñchā  huuñ  tab  maiñ  manzil-e-nā-hast-o-hast  par
'sāhir'!  maiñ  apne-āp  se  aage  nikal  gayā
hairat-zada  haiñ  sab  mirī  rūhānī  jast  par