adl  ko  bhī  mīzān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
har  ehsān  ehsān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
yuuñ  hī  gyaan  kī  daulat  haath  nahīñ  aatī
be-dhyānī  ko  dhyān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
jab  bhī  safar  par  jaane  lago  to  yaad  rahe
ḳhud  ko  bhī  sāmān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
apne  hone  aur  na  hone  kā  imkān
honī  ke  imkān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
is  niile  ākāsh  ko  chhū  lene  ke  liye
ḳhud  ko  ūñchī  uḌaan  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
yuuñ  hī  jañg  kabhī  jiitī  nahīñ  jā  saktī
qadam  apnā  maidān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
thoḌī  der  tilāvat  kar  chikne  ke  ba.ad
mor  kā  par  qur.ān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai
kabhī  kabhī  to  naf.a  ke  lālach  meñ  'sāhir'!
ḳhud  ko  kisī  nuqsān  meñ  rakhnā  paḌtā  hai