umr-bhar  justujū  rahegī  kyā
aarzū  aarzū  rahegī  kyā
nahīñ  honā  mukālima  tujh  se
ḳhud  se  hī  guftugū  rahegī  kyā
raat  ai  raat  sirf  raat  kī  raat
mere  pahlū  meñ  tū  rahegī  kyā
shor-e-ḳhāmoshī  kam  nahīñ  honā
rāt-bhar  hāv-hū  rahegī  kyā
tū  jo  mere  gale  bhī  lag  jaa.e
ruuh  se  ruuh  chhū  rahegī  kyā
ḳhud  ko  kamre  se  gar  nikāl  duuñ  maiñ
koī  shai  fāltū  rahegī  kyā
yuuñ  bhī  tazlīl  kar  ke  auroñ  kī
ḳhud  tirī  aabrū  rahegī  kyā
to  dobāra  sahar  nahīñ  honī
tīrgī  chār-sū  rahegī  kyā
aisī  retīlī  zamīn  meñ  'sāhir'
mujh  ko  tāb-e-numū  rahegī  kyā