Zeb Ghauri

sehn-e-chaman mein jaana mera aur faza mein bikhar jaana

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985

sehn-e-chaman meñ jaanā merā aur fazā meñ bikhar jaanā

shāḳh-e-gul ke saath lachaknā sabā ke saath guzar jaanā

sehr-bharī do āñkheñ merā pīchhā kartī rahtī haiñ

nāgin vo muḌ kar dekhnā phir vaadī meñ utar jaanā

zaḳhm terā muqaddar haiñ dil tujh ko kaun sambhālegā

ai mere bachpan ke sāthī mere saath mar jaanā

sūraj in āḳhirī maddham kirnoñ ko gin sakte haiñ

din vo motī chamaknā phir paanī meñ utar jaanā

yahīñ kahīñ sahrā meñ Thahar dam lene baat nahīñ

ḳhaak sivā rakkhā kyā hai yahāñ se aur kidhar jaanā

us se ab dasht-e-imkāñ ke safar-hazar pūchhnā kyā

jis ne rāhguzar ke ghane peḌoñ ko bhī dard-e-sar jaanā

ek nihāñ-ḳhāne ke taaq par ā.īna rakkhā thā 'zeb'

ek jhalak apnī dekhnā aur vo merā Dar jaanā

Top Urdushayar.com