raat  damaktī  hai  rah  rah  kar  maddham  sī
khule  hue  sahrā  ke  haath  pe  nīlam  sī
apnī  jagah  sāhil  sā  Thahrā  ġham  terā
dil  ke  dariyā  meñ  ik  halchal  paiham  sī
lambī  raat  guzar  jaa.e  ta.abīroñ  meñ
us  kā  paikar  ek  kahānī  mub.ham  sī
apnī  lagāvaT  ko  vo  chhupānā  jāntā  hai
aag  itnī  hai  aur  ThanDak  hai  shabnam  sī
mere  paas  se  uTh  kar  vo  us  kā  jaanā
saarī  kaifiyyat  hai  guzarte  mausam  sī
shāyad  ab  bhī  koī  sharar  baaqī  ho  'zeb'
dil  kī  raakh  se  aañch  aatī  hai  kam  kam  sī