lagā.ūñ  haath  tujhe  ye  ḳhayāl-e-ḳhām  hai  kyā
tirā  badan  koī  shamshīr-e-be-niyām  hai  kyā
mirī  jagah  koī  ā.īna  rakh  liyā  hotā
na  jaane  tere  tamāshe  meñ  merā  kaam  hai  kyā
asīr-e-ḳhāk  mujhe  kar  ke  tū  nihāl  sahī
nigāh  Daal  ke  to  dekh  zer-e-dām  hai  kyā
ye  Dūbtī  huī  kyā  shai  hai  terī  āñkhoñ  meñ
tire  laboñ  pe  jo  raushan  hai  us  kā  naam  hai  kyā