din  tirī  yaad  meñ  Dhal  jaatā  hai  aañsū  kī  tarah
raat  taḌpātī  hai  ik  nashtar-e-pahlū  kī  tarah
jaane  kis  soch  meñ  Duubā  huā  tanhā  tanhā
dil  kā  aalam  hai  kisī  sarv-e-lab-e-jū  kī  tarah
haa.e  vahshat  koī  manzil  ho  Thahartā  hī  nahīñ
vaqt  hai  daam  se  chhūTe  hue  aahū  kī  tarah
rah  ga.ī  ghuT  ke  mire  dil  meñ  tamannā  terī
ek  parvāz-e-shikasta  par-o-bāzū  kī  tarah
majlis-e-shaiḳh  meñ  kal  zikr  thā  jis  kā  ai  dost
hogī  jannat  bhī  koī  shai  tire  pahlū  kī  tarah
'zeb'  ab  zad  meñ  jo  aa  jaa.e  vo  dil  ho  ki  nigāh
us  kī  raftār  hai  chalte  hue  jaadū  kī  tarah