khulī  thī  aañkh  samundar  kī  mauj-e-ḳhvāb  thā  vo
kahīñ  pata  na  thā  us  kā  ki  naqsh-e-āb  thā  vo
ulaT  rahī  thiiñ  havā.eñ  varaq  varaq  us  kā
likhī  ga.ī  thī  jo  miTTī  pe  vo  kitāb  thā  vo
ġhubār-e-rañg-e-talab  chhaT  gayā  to  kyā  dekhā
sulagtī  ret  ke  sahrā  meñ  ik  sarāb  thā  vo
sab  us  kī  laash  ko  ghere  hue  khaḌe  the  ḳhamosh
tamām  tishna  savālāt  kā  javāb  thā  vo
vo  mere  sāmne  ḳhanjar-ba-kaf  khaḌā  thā  'zeb'
maiñ  dekhtā  rahā  us  ko  ki  be-naqāb  thā  vo