aks-e-falak  par  ā.īna  hai  raushan  aab  zaḳhīroñ  kā
garm-e-safar  hai  qāz-e-qāfila  sail-e-ravāñ  hai  tīroñ  kā
kaTe  hue  khetoñ  kī  muñDeroñ  par  abrak  kī  zañgārī
thakī  huī  miTTī  ke  sahāre  Dher  lagā  hai  hīroñ  kā
tez  qalam  kirnoñ  ne  banā.e  haiñ  kyā  kyā  hairat  paikar
jhiil  ke  Thahre  hue  paanī  par  naqsh  utrā  tasvīroñ  kā
kyā  kuchh  dil  kī  ḳhākistar  par  likh  ke  ga.ī  hai  mauj-e-havā
paḌhne  vaalā  koī  nahīñ  hai  in  miTtī  tahrīroñ  kā
reg-e-nafas  kā  zā.iqa  muñh  meñ  gard-e-mah-o-sāl  āñkhoñ  meñ
maiñ  huuñ  'zeb'  aur  chaar  taraf  ik  sahrā  hai  ta.abīroñ  kā