aalam  se  fuzūñ  terā  aalam  nazar  aatā  hai
har  husn  muqābil  meñ  kuchh  kam  nazar  aatā  hai
chamkā  hai  muqaddar  kyā  is  tīra-nasībī  kā
sūraj  bhī  shab-e-ġham  kā  parcham  nazar  aatā  hai
hai  terī  tamannā  kā  bas  ek  bharam  qaa.em
ab  varna  mire  dil  meñ  kyā  dam  nazar  aatā  hai
tanhā  nahīñ  rah  paatā  sahrā  meñ  bhī  dīvāna
jab  ḳhaak  uḌātā  hai  aalam  nazar  aatā  hai
ai  'zeb'  mujhe  terī  taḳh.īl  kī  maujoñ  meñ
hushyārī  o  mastī  kā  sañgam  nazar  aatā  hai