marne  kā  sukh  jiine  kī  āsānī  de
andātā  kaisā  hai  aag  na  paanī  de
is  dhartī  par  hariyālī  kī  jot  jagā
kaale  meghā  paanī  de  gardānī  de
band  aflāk  kī  dīvāroñ  meñ  rauzan  kar
koī  to  manzar  mujh  ko  imkānī  de
mere  dil  par  khol  kitāboñ  ke  asrār
merī  aañkh  ko  apnī  saaf  nishānī  de
arz  o  samā  ke  pas-manzar  se  sāmne  aa
dil  ko  yaqīñ  de  āñkhoñ  ko  hairānī  de
mere  hone  mere  na  hone  meñ  kyā  hai
maut  ko  mafhūm  is  hastī  ko  ma.ānī  de
barakat  de  din  pherne  vaalī  duāoñ  ko
raat  ko  koī  ḳhush-tābīr  kahānī  de
TūTtī  rahtī  hai  kachche  dhāge  sī  niiñd
āñkhoñ  ko  ThanDak  ḳhvāboñ  ko  girānī  de
mujh  ko  jahāñ  ke  sātoñ  sukh  dene  vaale
denā  hai  to  koī  daulat  lā-fānī  de
tujh  se  judā  ho  kar  to  maiñ  mar  jā.ūñgā
mujh  ko  apnā  sar  ai  dost  nishānī  de
ik  ik  patthar  raah  kā  'zeb'  haTātā  chal
pīchhe  aane  vāloñ  ko  āsānī  de