ḳhaak  ā.īna  dikhātī  hai  ki  pahchān  meñ  aa
aks-e-nāyāb  mire  dīda-e-hairān  meñ  aa
hai  sharāra  havas-āmāda-e-parvāz  bahut
yam-e-zulmāt  bulātā  hai  ki  tūfān  meñ  aa
jagmagātā  huā  ḳhanjar  mire  siine  meñ  utaar
raushnī  le  ke  kabhī  ḳhāna-e-vīrān  meñ  aa
is  tarah  chhup  ki  koī  DhūñDh  nikāle  tujh  ko
āsmānoñ  se  utar  kar  had-e-imkān  meñ  aa
baiTh  jā  apne  kaTe  sar  ko  liye  hāthoñ  meñ
thak  gayā  maiñ  bhī  yahāñ  ganj-e-shahīdān  meñ  aa
ramna  ḳhālī  ram-e-āhū-e-ma.ānī  se  huā
chhup  ke  baiThā  hī  thā  maiñ  'zeb'  niystān  meñ  aa