sho.ala-e-mauj-e-talab  ḳhūn-e-jigar  se  niklā
nā-rasā.ī  meñ  bhī  kyā  kaam  hunar  se  niklā
nashsha-e-marg  sī  ik  lahr  lahū  meñ  chamkī
jab  qabā  utrī  to  ḳhanjar  bhī  kamar  se  niklā
sañg-e-be-his  se  uThī  mauj-e-siyah-tāb  koī
sarsarātā  huā  ik  saañp  khañDar  se  niklā
maiñ  ne  dekhā  thā  sahāre  ke  liye  chāroñ  taraf
ki  mire  paas  hī  ik  haath  bhañvar  se  niklā
dil  ke  āshob  kā  nairañg  thā  kyā  ashk  meñ  'zeb'
ek  betāb  samundar  bhī  guhar  se  niklā