bujhte  sūraj  ne  liyā  phir  ye  sambhālā  kaisā
uḌtī  chiḌiyoñ  ke  paroñ  par  hai  ujālā  kaisā
tum  ne  bhī  dekhā  ki  mujh  ko  hī  huā  thā  mahsūs
gird  us  ke  ruḳh-e-raushan  ke  thā  haalā  kaisā
chhaT  gayā  jab  mirī  nazroñ  se  sitāroñ  kā  ġhubār
shauq-e-raftār  ne  phir  paañv  nikālā  kaisā
kis  ne  sahrā  meñ  mire  vāste  rakkhī  hai  ye  chhāñv
dhuup  roke  hai  mirā  chāhne  vaalā  kaisā
'zeb'  maujoñ  meñ  lakīroñ  kī  vo  ġham  thā  kab  se
gardish-e-rañg  ne  paikar  ko  uchhālā  kaisā