mauzū-e-suḳhan  himmat-e-ālī  hī  rahegī
jo  tarz  nikālūñgā  misālī  hī  rahegī
ab  mujh  se  ye  duniyā  mirā  sar  maañg  rahī  hai
kambaḳht  mire  aage  savālī  hī  rahegī
vo  nashsha-e-ġham  ho  ki  ḳhumār-e-mai-e-pindār
dil  vāloñ  ke  chehre  pe  bahālī  hī  rahegī
ab  tak  to  kisī  ġhair  kā  ehsāñ  nahīñ  mujh  par
qātil  bhī  koī  chāhne  vaalī  hī  rahegī
maiñ  laakh  ise  taaza  rakhūñ  dil  ke  lahū  se
lekin  tirī  tasvīr  ḳhayālī  hī  rahegī
is  dil  pe  Thaharne  kā  nahīñ  'zeb'  koī  naqsh
ye  aañkh  kisī  rañg  se  ḳhālī  hī  rahegī