Zeb Ghauri

mauj-e-reg sarab-e-sahra kaise banti hai

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985
mauj-e-reg sarāb-e-sahrā kaise bantī hai
bahtā huā ā.īna-e-dariyā kaise bantī hai
khil ke kalī chup kyuuñ rahtī hai shāḳh-e-zar-afshāñ par
phir ye chahaktī koktī chiḌiyā kaise bantī hai
bāhar ke manzar bhī hasīñ kyuuñ lagne lagte haiñ
dil kī lahr ik kaif-e-sarāpā kaise bantī hai
aañsū se kitnā gahrā hai miTTī kā rishta
duniyā phir ġham se begāna kaise bantī hai
uḌte hue pattoñ kī sadā ye shor havāoñ kā
jañgal kī ye fazā sannāTā kaise bantī hai
maiñ to chaak pe kūza-gar ke haath kī miTTī huuñ
ab ye miTTī dekh khilaunā kaise bantī hai
bah gayā merā gharauñdā to ik rele hī meñ 'zeb'
paanī par qaa.em ye duniyā kaise bantī hai
Top Urdushayar.com