mauj-e-reg  sarāb-e-sahrā  kaise  bantī  hai
bahtā  huā  ā.īna-e-dariyā  kaise  bantī  hai
khil  ke  kalī  chup  kyuuñ  rahtī  hai  shāḳh-e-zar-afshāñ  par
phir  ye  chahaktī  koktī  chiḌiyā  kaise  bantī  hai
bāhar  ke  manzar  bhī  hasīñ  kyuuñ  lagne  lagte  haiñ
dil  kī  lahr  ik  kaif-e-sarāpā  kaise  bantī  hai
aañsū  se  kitnā  gahrā  hai  miTTī  kā  rishta
duniyā  phir  ġham  se  begāna  kaise  bantī  hai
uḌte  hue  pattoñ  kī  sadā  ye  shor  havāoñ  kā
jañgal  kī  ye  fazā  sannāTā  kaise  bantī  hai
maiñ  to  chaak  pe  kūza-gar  ke  haath  kī  miTTī  huuñ
ab  ye  miTTī  dekh  khilaunā  kaise  bantī  hai
bah  gayā  merā  gharauñdā  to  ik  rele  hī  meñ  'zeb'
paanī  par  qaa.em  ye  duniyā  kaise  bantī  hai