rañg-e-ġhazal  meñ  dil  kā  lahū  bhī  shāmil  ho
ḳhanjar  jaisā  bhī  ho  lekin  qātil  ho
is  tasvīr  kā  aab  o  rañg  nahīñ  badlā
jaane  kab  ye  dil  kā  naqsh  bhī  bātil  ho
shor-e-fuġhāñ  par  itnī  bechainī  kaisī
tum  se  kyā  tum  kaun  kisī  ke  qātil  ho
dekh  kabhī  aa  kar  ye  lā-mahdūd  fazā
tū  bhī  merī  tanhā.ī  meñ  shāmil  ho
maiñ  ki  huuñ  ek  thakā-hārā  aur  māñda  shaḳhs
merī  anā  kahtī  hai  mere  muqābil  ho
'zeb'  savāl  ab  ye  hai  tujhe  pahchāne  kaun
kis  kī  nazar  is  gahrā.ī  kī  hāmil  ho