pahle  mujh  ko  bhī  ḳhayāl-e-yār  kā  dhokā  huā
dil  magar  kuchh  aur  hī  aalam  meñ  thā  khoyā  huā
dil  kī  sūrat  ghaT  rahī  hai  Dūbte  sūraj  kī  lau
uTh  rahā  hai  kuchh  dhuāñ  sā  duur  bal  khātā  havā
maiñ  ne  betābāna  baḌh  kar  dasht  meñ  āvāz  dī
jab  ġhubār  uTThā  kisī  dīvāne  kā  dhokā  huā
niiñd  uchaT  jā.egī  in  matvālī  āñkhoñ  kī  na  sun
merī  hastī  kā  fasāna  hai  bahut  uljhā  huā
dil  se  Takrā  jaatī  hai  rah  rah  ke  koī  mauj  'zeb'
shab  kā  sannāTā  koī  bahtā  huā  dariyā  huā