be-karāñ  dasht-e-be-sadā  mere
aa  khule  bāzuoñ  meñ  aa  mere
sāf-shaffāf  sabz  farsh  tirā
gard-ālūda  dast  o  pā  mere
sarkash  o  sar-buland  baam  tirā
sar-nigūñ  shahpar-e-havā  mere
be-sutūñ  ḳhema-e-sabāt  tirā
mahv-e-sahrā  nuqūsh-e-pā  mere
shab-e-hijrāñ  ki  lā-zavāl  tirī
ġham  ki  āmāda-e-fanā  mere
dasht  o  dariyā  sabhī  ḳhamosh  hue
zamzama-sanj  o  ham-navā  mere
maiñ  payambar  tirā  nahīñ  lekin
mujh  se  bhī  baat  kar  ḳhudā  mere
ek  ik  taarā  jāntā  hai  mujhe
haiñ  sabhī  'zeb'  āshnā  mere