Zeb Ghauri

jhuke hue peDon ke tanon par chhap hai chanchal dhaare ki

Zeb Ghauri

Kanpur, Uttar pradesh, India

1928-1985

jhuke hue peḌoñ ke tanoñ par chhāp hai chanchal dhāre

haule haule Dol rahī hai ghaas nadī ke kināre

kasī huī mirdañg paanī havā thaap se bajtā hai

lahar tarañg se uThtī hai jhankār kisī ektāre

khulī fazā meñ nikle to zañg-e-yaksānī duur huā

ek havā ke jhoñke ne rañgat badlī añgāre

abr tah meñ bijlī chamkī us tabassum thā magar aur

lafzoñ meñ pahchān na paa.e thī jo baat ishāre

dekh rahā huuñ band ḳhudā muTThī hone vaalī hai

sub.h ke motī par ab bhī hai dhīmī aañch sitāre

saḳht chaTāneñ shīsha paanī gul-būTe sab zaa.e.a the

sañg-o-shajar ko ma.anī de ga.ī taan kisī banjāre

Top Urdushayar.com