kab  talak  ye  shola-e-be-rañg  manzar  dekhiye
kyuuñ  na  harf-e-sabz  hī  likh  kar  zamīñ  par  dekhiye
phir  kahīñ  sahrā-e-jāñ  meñ  khā.iye  taaza  fareb
phir  sarāb-e-chashma  o  aks-e-sanobar  dekhiye
leT  rahiye  band  kar  ke  āñkheñ  jaltī  dhuup  meñ
aur  phir  sabz  o  siyah  sūraj  kā  manzar  dekhiye
phir  barahna  shāḳhoñ  ke  saa.e  meñ  dam  liije  kahīñ
reñgte  sāñpoñ  ko  apne  tan  ke  uupar  dekhiye
daad  diije  shaukat-e-ta.amīr-e-arsh-o-farsh  kī
aur  phir  buniyād-e-hast-o-būd  Dhā  kar  dekhiye
chāñdnī  rātoñ  meñ  ek  aaseb  ban  kar  ghūmiye
ghar  kī  dīvāroñ  par  apnā  saaya  be-sar  dekhiye
hai  jigar  kis  kā  jo  is  teġh-e-hunar  kī  daad  de
apne  hāthoñ  zaḳhm  khā  kar  apnā  jauhar  dekhiye
be-dilī  kī  tah  meñ  ġhota  maar  kar  baiThe  haiñ  ham
'zeb'  phir  paanī  pe  kab  ubhregā  patthar  dekhiye