bas  ek  parda-e-iġhmāz  thā  kafan  us  kā
lahūluhān  paḌā  thā  barahna  tan  us  kā
na  ye  zamīn  huī  us  ke  ḳhuun  se  gulnār
na  āsmāñ  se  utārā  gayā  kafan  us  kā
ram-e-najāt  bas  ik  jumbish-e-havā  meñ  thā
ki  naqsh-e-āb  ko  Thahrā  diyā  badan  us  kā
lahakte  sho.aloñ  meñ  go  raakh  ho  chuke  aurāq
havā  chalī  to  damakne  lagā  suḳhan  us  kā
ghasīTte  hue  ḳhud  ko  phiroge  'zeb'  kahāñ
chalo  ki  ḳhaak  ko  de  aa.eñ  ye  badan  us  kā