mujh  se  aise  vāmānda-e-jāñ  ko  bistar-vistar  kyā
pal  do  pal  ko  muuñd  luuñ  āñkheñ  varna  ghar-var  kyā
chhoḌo  kyā  ronā  le  baiThe  rañj-o-rāhat  kā
qaid  hī  jab  Thahrī  hastī  to  behtar-vehtar  kyā
maiñ  bhī  sar  Takrātā  phirā  huuñ  dīvāroñ  se  bahut
DhūñDh  rahe  ho  is  gumbad  meñ  koī  dar-var  kyā
āḳhir  ko  thak-hār  ke  mujh  ko  zamīn  par  aanā  hai
zor-o-shor-e-bāzū  kaisā  shahpar-vahpar  kyā
mere  qalam  hī  se  jab  merā  rizq  utrā  hai
jaanā  hai  ik  kār-e-ziyāñ  ko  daftar-vaftar  kyā
sūrat  ek  tarāshūñgā  to  sau  rah  jā.eñgī
kyuuñ  patthar  ko  subuk  karūñ  maiñ  paikar-vaikar  kyā
bālīda  bār-āvar  honā  miTTī  ho  jaanā
sarsabz  zarḳhezī  kaisī  banjar-vanjar  kyā
aab  o  sarāb  o  ḳhvāb  o  haqīqat  ek  se  lagte  haiñ
dīda-varī  kyā  ā.īna  kā  jauhar-vauhar  kyā
mujh  ko  bahā.e  le  jaatī  hai  ḳhud  hī  mauj  mirī
merā  rasta  rok  sakeñge  patthar-vatthar  kyā
rañg-e-shafaq  sabze  kā  nasha  kuchh  nahīñ  āñkhoñ  meñ
duur  ḳhalā  meñ  dekh  rahā  huuñ  manzar-vanzar  kyā
merā  aur  sāhil  kā  rishta  kab  kā  TuuT  chukā
'zeb'  kahāñ  kā  ḳhema-e-kashtī  lañgar-vañgar  kyā