sūraj  ne  ik  nazar  mire  zaḳhmoñ  pe  Daal  ke
dekhā  hai  mujh  ko  khiḌkī  se  phir  sar  nikāl  ke
rakhte  hī  paañv  ghūmtī  chakrātī  raah  ne
pheñkā  hai  mujh  ko  duur  ḳhalā  meñ  uchhāl  ke
kyā  ḳhvāhisheñ  zamīn  ke  nīche  dabī  rahīñ
ġhāroñ  se  kuchh  mujassame  nikle  visāl  ke
chhan  chhan  ke  aa  rahī  ho  guphāoñ  meñ  raushnī
tan  par  vahī  libās  hoñ  peḌoñ  kī  chhāl  ke
rañgoñ  kī  rau  hai  'zeb'  ki  gardish  meñ  hai  mudām
be-shakl-o-jism  ubhre  haiñ  paikar  ḳhayāl  ke