merā  adam  vajūd  bhī  kyā  zar-nigār  thā
chāroñ  taraf  ḳhalā  meñ  chamaktā  ġhubār  thā
sāhil  banī  nigāh  kī  had  fāsle  miTe
girdāb-e-mauj-e-dūd  makāñ  kā  hisār  thā
pī  kar  lahū  siyāh  huī  kisht-e-ārzū
kyā  dekhte  ki  ḳhaak  kā  da.avā  bahār  thā
maujoñ  meñ  Dūbtī  huī  surḳhī  thī  shaam  kī
dil  dasht-e-pur-sukūt  thā  dariyā  qarār  thā
ik  bojh  uThā.e  shaam  ko  lauTā  huuñ  maiñ  niDhāl
maiñ  apne  dām-e-shauq  meñ  kyā  ḳhud  shikār  thā
dil  kā  surāġh  kyā  ki  jahāñ  tak  nigāh  kī
nairañg-e-naqsh-e-rafta-e-pā-e-farār  thā
maiñ  ik  shajar  sukūt  thā  aur  merī  chhāñv  meñ
girtā  huā  sadāoñ  kā  ik  ābshār  thā
ḳhurshīd-o-māh  mere  liye  ik  fasāna  the
tārīk  jañgaloñ  kā  maiñ  lail-o-nahār  thā
sho.ale  darāz  dast  the  aur  mere  sāmne
ḳhurshīd  shām-e-dasht  kā  tārīk  ġhaar  thā
maiñ  ḳhāk-e-dil  bikher  rahā  thā  havā  meñ  'zeb'
aur  is  se  be-ḳhabar  thā  ki  us  meñ  sharār  thā