bahār  kaun  sī  tujh  meñ  jamāl-e-yār  na  thī
mushāhida  thā  tirā  sair-e-lāla-zār  na  thī
mahaktī  zulfoñ  se  ḳhoshe  guloñ  ke  chhūT  gire
kuchh  aur  jaise  ki  gunjā.ish-e-bahār  na  thī
ham  apne  dil  hī  ko  rote  the  lekin  is  ke  liye
jahāñ  meñ  kaun  sī  shai  thī  jo  be-qarār  na  thī
talāsh  ek  bahāna  thā  ḳhaak  uḌāne  kā
pata  chalā  ki  hameñ  justujū-e-yār  na  thī
jhukā  hai  qadmoñ  meñ  tere  vo  sar  ki  jis  ke  liye
koī  jagah  bhī  munāsib  sivā.e  daar  na  thī
na  jaane  'zeb'  dil-e-zār  kyuuñ  taḌap  uTThā
havā-e-sub.h  thī  ḳhushbū-e-zulf-e-yār  na  thī