bhaḌaktī  aag  hai  sho.aloñ  meñ  haath  Daale  kaun
bachā  hī  kyā  hai  mirī  ḳhaak  ko  nikāle  kaun
tū  dost  hai  to  zabāñ  se  koī  qarār  na  kar
na  jaane  tujh  ko  kisī  vaqt  aazmā  le  kaun
lahū  meñ  tairtā  phirtā  hai  merā  ḳhasta  badan
maiñ  Duub  jā.ūñ  to  zaḳhmoñ  ko  dekhe-bhāle  kaun
guhar  lage  the  ḳhunuk  uñgliyoñ  ke  zaḳhm  mujhe
ab  is  athāh  samundar  ko  phir  khañgāle  kaun