lahr  lahr  kyā  jagmag  jagmag  hotī  hai
jhiil  bhī  koī  rañg  badaltā  motī  hai
kaavā  kaaT  ke  uupar  uThtī  haiñ  qāzeñ
gun  gun  gun  gun  paroñ  kī  gunjan  hotī  hai
chaḌhtā  huā  parvāz  kā  nashsha  hai  aur  maiñ
tez  havā  rah  rah  kar  Dañk  chubhotī  hai
gahre  sannāTe  meñ  shor  havāoñ  kā
tārīkī  sūraj  kī  laash  pe  rotī  hai
dekho  is  be-his  nāgin  ko  chhūnā  mat
kyā  mālūm  ye  jāgtī  hai  yā  sotī  hai
merī  ḳhasta-mizājī  dekhte  sab  haiñ  magar
kitne  ġhamoñ  kā  bojh  uThā.e  hotī  hai
kis  kā  jism  chamaktā  hai  paanī  meñ  'zeb'
kis  kā  ḳhazāna  raat  nadī  meñ  Dubotī  hai